नये व्यंजन

recipe in Hindi

Banana milk shake recipe in hindi | बनाना शेक घर पर कैसे बनाये इन हिंदी

Banana milk shake recipe in hindi | बनाना शेक घर पर कैसे बनाये इन हिंदी 

Banana shake recipe in hindi | Banana milkshake recipe in hindi | बनाना शेक रेसिपी इन हिंदी | घर पर केले का शेक कैसे बनाए रेसिपी इन हिंदी | banana shake in hindi | banana milkshake kaise banaye in hindi | banana shake kaise banaye recipe in hindi | ghar par tasty banana shake kaise banaye in hindi | How to make tasty banana shake at home in hindi | How to make banana shake recipe in hindi  

Namaskar doston, kaisebanaye.com me aap sabhi ka swagat hai . Garmiyon ka mousam aa gya hai or har koi garmiyon me kuch thanda hi pasand karta hai. aaj hm aapke liye kuch esi hi khaas recipe lekar aaye hai jo peene me bhut hi swadist hai or healthy bhi . sabhi ke mann me swaal aata hai ki market jaisa tasty banana shake ghar par kaise banaye ya phir mann me swaal aata hai ki banana milkshake kaise banaye . To dosto aaj hm aapke liye esi hi khaas recipe lekar aaye hai . Jo ki bnane me bhut hi aaasan hai or bhut hi kum samgry ki jrurat pdhti hai . Agar aap market se banana shake lekar aate hai to wo aapko mahnga pdega or ho sakta hai ki pure bhi na mile . lekin ghar par apne haatho se bnaya hua shake pure bhi hota hai or sasta bhi. hum aapko kuch ingredient or kaise banaye ke baare me puri jankari denge jise padh kar aap aasani se ghar par banana shake bna sakte hai . Mango shake kaise banaye agar aap janna chahte hai to yhaa par click kar lijiye.     

5 logo ke liye
time - 10 minute

Kya-Kya chahiye ? banane ke liye:-

banana - 5 ya 6
dudh - 2 glass
sugar - 1/2 cup (swdanusar)
 Ice - Jitna thanda aap chaho (1 glass chote piece kiye hue)
dry froot - 1/2 cup (cut kiye hue)
          ya
cherry - garnish ke liye  

Kaise banaye ? puri jankari hindi me :-

jaisa ki hmne btaya ki banana shake bnana bhut hi aasan hai ise bnane ke liye kya kuch chahiye ye hmne upper bta diya hai . Ab hum aapko btayenge ki ise bnana kaise hai ? sabse phle aap ek mix jaar lijiye jisme aapko shake bnana hai . banana ko cheel lijiye or har ek banana ko kum se kum 2-3 bhaag me divide kar lijiye or mix jaar me daal lijiye . banana daalne ke baad usi jaar me doodh or cheeni bhi daal lijiye . Agar aap dry froot under daalna chahte hai to jar me daal liiye or kuch ek garnish ke liye rakh lijiye . Agar aap under daal loge to wo under mesh ho jayenge or agar aap mesh nhi krwana chahte hai to dry froot ko shake bnane ke baad sidhaa bhi daal sakte hai . Ab jaar ko dhakan se band kar dijiye or mixi se mesh kar lijiye . Jab puri tarah mesh ho jaye uske baad usme ice daal lijiye or thoda sa mesh or kar lijiye . Jisse ki ice puri tarah under mesh ho jayegi . Dhyan rhe ice ko cheeni or doodh mesh karne ke baad me ice daalni hai . warna chinni ghulne me jyada time legi. Ab aap dry froot se garlish kar lijiye ya cherry se . Aapka tasty or cool banana shake teyar hai . Ab aap ise peene ke liye serve kar sakte hai .     

Kis kis ke saath khaaye:- 

waise to banana shake hum log kisi ke saath nhi peete hai. lekin kuch log ise chpati  ke saath pina pasand karte hai . 

Kitne samay tak khraab nhi hoga:- 

15-20 minute ke baad iska taste change hona start ho jata hai . isliye ise bnate hi pee lena chahiye. 

Kis tarike se rakhe ise khraab hone se bchaane ke liye :- 

Banana shake ka 15-20 minute baad taste change ho jata hai . waise  ise freeze me hi rkhna chahiye .





No comments:

आपका बहुत बहुत धन्यवाद् अपनी टिप्पणी देने के लिए हमारे लिए आपके द्वारा दी गयी हर टिप्पणी महतवपूर्ण होती है. अगर आपने कुछ पूछा है तो उसका जवाब देने की कोशिश हम जल्द ही करेंगे अगर आपने हमारे व्यंजन तथा काम को सराहा है तो आपका पहले ही तह दिल से धन्यवाद...

Aaapka comment karne ke liye teh-dil se sukariya...
agar aapne koi sawal puchha hai to iski jankari hum jald hi denge or agar aapne hmare kaam ki sarahna ki hia to aapka pehle hi teh dil se dhanyawad...
sikhte rahie kaise banaye?

Theme images by fpm. Powered by Blogger.