नये व्यंजन

recipe in Hindi

Lassi ya dahi ka tasty raita recipe in Hindi and Urdu-राईता कैसे बनाये ? हिंदी रेसिपी | Pyaj ka tasty raita kaise banaye in hindi

Lassi ya dahi ka tasty raita recipe in Hindi and Urdu-राईता कैसे बनाये ? हिंदी रेसिपी |  Pyaj ka tasty raita kaise banaye in hindi

Hello friends, kaisebanaye.com me aap sabhi ka swagat hai or  aaj hum baaat karne wale hai ki simple dahi ya lassi ka  raita ya pyaj ka raita kaise banaye . Garmiyo me khane ke saath raita sabhi ko bahut pasand aata hai . raita hum log bahut si alag - alag tarah ka bna sakte hai jaise kheere ka raita , louki ka raita , shimla mirch ka raita , bengan ka raita , boondi ka raita etc. Par aaj hum aapko simple raita btane jaa rhe hai . Raita bnana bahut aasan hai . To chaliye sikhte hai ki ghar par tasty raita kaise banaye . 
5-6 logo ke liye 
time- 10 minute

Kya-kya chahie ? ise banane ke liye:-

Lassi ya dahi  - lassi 5 glass ya (dahi 3-4 cup fenta hua)
Jeera - bhuna hua (aadha choti chamach)
Pyaj - 2  barik kate hue (medium size)
Namak - 1/2 choti chammach (swadanusar)
Lal mirch powder - 1/4 choti chamach (swadanusar) ya (kali mirch powder - 1 pinch) 
Hari mirch - 2 ( barik kati hui )  
Hara dhaniya - 2-3 chamach (barik kta hua ) 

Tadka lgane ke liye kya chahiye :-

Ghee ya oil - 2 choti chammach
jeera - 1/2 choti chammach
haldi - 1/4 choti chamach (agar aap chaho to)

Kaise banaye? Puri jankari Urdu and Hindi me:-  

Agar aap dahi ka raita bna rhe hai to pahle aap dahi ko ache se fant lijiye . Dahi ko fantna kaise hai agar aapke paas haadh se ghumane wala scroll hai to 2 minute use dahi me ghumate rahe agar aapke paas scroll nhi hai to kisi bartan me daalkar use kisi doosre bartan se fant lijiye . Uske baad usme namak , mirch (lal ya kali jo bhi aap use karna chaho) ,  bhuna hua jeera , pyaj , hari mirch , hara dhaniya ache se mix kar lijiye . Agar aap lassi ka bnana chahte hai to usme bhi ye puri samgry mix kar lijiye jo hamne aapko dahi me mix krne ke liye btai hai .  or inhe ache se mila lijiye . Ab hame dahi ya lassi me tadka lgana hai . Agar aap lgana chaho to lga lijiye . Bahut se log raita bina tadke ke pasand karte hai par kuch log tadka lgaya hua jyada pasand karte hai .

Tadka kaise lgaye :-   

Tadka lgane ke liye sabse pahle aap kisi choti kdhahi ko ache se dho karke gas par chda lijiye . Jab kdahi ka paani sukh jaye tab usme ghee ya oil (jisse aap tadka lgana chaho) kdhahi me daal lijiye . Jab ghee ya oil garam ho jaye tab usme jeera daal lijiye . Jeera halka brown hone par usme haldi daal lijiye (agar aap chaho to ) . Gas band kar dijiye or wo tadka  raite me lga lijiye . Ab aapka raita bankar teyar hai ab aap ise khane ke saath serve kar sakte hai .



क्या-क्या चाहिएगा? बनाने के लिए:-
कैसे बनायें?- पूरी जानकारी हिंदी में:-
किस-किस के साथ खायें? इस व्यंजना को:-
कितने समय तक ख़राब नही होगा? ये व्यंजन:-
किस टर्की से रखें? इसे खराब होने से बचने को:-


Video for Lassi ya dahi ka testy raita recipe in Hindi and Urdu-राईता कैसे बनाये ? हिंदी रेसिपी

No comments:

आपका बहुत बहुत धन्यवाद् अपनी टिप्पणी देने के लिए हमारे लिए आपके द्वारा दी गयी हर टिप्पणी महतवपूर्ण होती है. अगर आपने कुछ पूछा है तो उसका जवाब देने की कोशिश हम जल्द ही करेंगे अगर आपने हमारे व्यंजन तथा काम को सराहा है तो आपका पहले ही तह दिल से धन्यवाद...

Aaapka comment karne ke liye teh-dil se sukariya...
agar aapne koi sawal puchha hai to iski jankari hum jald hi denge or agar aapne hmare kaam ki sarahna ki hia to aapka pehle hi teh dil se dhanyawad...
sikhte rahie kaise banaye?

Theme images by fpm. Powered by Blogger.