Rusk ka halwa kaise banaye recipe hindi me | How to make suji toast halwa in hindi
Rusk ka halwa kaise banaye recipe hindi me | How to make suji toast halwa in hindi
सूजी टोस्ट का हलवा दूध के साथ कैसे बनाये रेसिपी हिंदी में | How to make suji toast halwa in hindi | brown bread ka halwa kaise banaye | How to make brown bread halwa in hindi | Suji toast ka halwa recipe in hindi | Suji toast halwa in hindi | Suji toast halwa recipe with milk | brown bread halwa recipe with milk | rusk ka halwa kaise banaye | rusk halwa recipe in hindi | How to make rusk halwa in hindi | rusk halwa recipe | bread halwa using rusk | rusk laddu | recipes using rusk | sourashtra bun halwa recipe | rusk powder recipe | rusk recipe in tamil | sweet dish with rusk | bun halwa recipe in tamil
Hello friends kaisebanaye.com me aap sabhi ka swagat hai . Aaj ham aapke liye lekar aaye hai bahut hi achi jhatpat recipe. Suji toast ka halwa kaise banaye with milk . Jaise ham suji , aate , bread , gajar etc. ka halwa bna sakte hai usi tarah ham log suji toast ka halwa bhi bna sakte hai . Halwa recipe me shayad ye halwa sabse jaldi banne wali halwa recipe hai . Suji toast ka halwa khaane me to bahut hi tasty ha hi saath hi ye sabse jaldi or aasan banne wali recipe bhi hai . Koi bhi anjaan person bhi ise bna sakta hai . Kyunki iske kacche rahne ka dar nhi hota . Suji toast hame market se mil jate hai . Jab bhi aapke ghar koi guest aaye ya aapko bahut jyada joro se bhukh lagi ho or aapka halwa khaane ka mann ho to aap suji toast ka halwa bnaiye ye aapko bahut hi achaa lgega or aapko jyada time bhi nhi lgega. To chaliye ham aapko btate hai ki suji toast ka halwa kaise banaye or ise bnane ke liye kya kuch chahiyega .
Total Time - 15 minute
5-6 logo ke liye
Kya-kya chahie ? ise banane ke liye:-
Ghee - 1 badi chammachsuji toast - 15 - 20 bade size ke (chura ya powder bnaya hua)
Doodh - 1 litre
sugar(chinni) - 1 cup (swadanusar)
Ilaychi - 2-3
badam - 10-12 (chote tukre kiye hue)
kaju - 10-12 (chote tukre kiye hue)
Kaise banaye? Puri jankari Urdu and Hindi me:-
Suji toast ka halwa bnane ke liye sabse pahle aapko suji toast ko mixer me uska chura bnana hai . Ab aapko kdahi ache se dhokar gas par chdani hai . Jab kdahi ka paani sukh jaye tab usme ghee dalna hai . Jab Ghee garam ho jaye tab usme grind kiya huya suji toast ka chura daalna hai . Suji toast chure ko aap lagbhg 2-3 minute tak karhchi se chlate rahe . Ya jab tak ki suji toast halka brown na ho jaye . Ise jyada der tak n bhune kyunki ye bahut jaldi pak jata hai . Agar aapne jyada brown kar liya to halwe me halka kharapan ho jayega . 2-3 minute tak suji toast ko bhunne ke baad aap usme doodh daal lijiye . Ab halwe karhchi se chlate rahe warna doodh jal jayega . Jab halwa gada ho jaye ya doodh ache se suji toast me mil jaye tab usme sugar(chinni) daal le . Sugar(Chinni) ache se mix karne ke baad isme dry froot (badam , kaju) daal le or ache se mix kar le . Thode badam, kaju garnish ke liye rakh le . Ab aapka suji toast ka jhatpat or swadist halwa bankar teyar hai . Ab aap ise khaane ke liye serve kar sakte hai . Or bache huye dry froot se ise garnish kar le .
No comments:
आपका बहुत बहुत धन्यवाद् अपनी टिप्पणी देने के लिए हमारे लिए आपके द्वारा दी गयी हर टिप्पणी महतवपूर्ण होती है. अगर आपने कुछ पूछा है तो उसका जवाब देने की कोशिश हम जल्द ही करेंगे अगर आपने हमारे व्यंजन तथा काम को सराहा है तो आपका पहले ही तह दिल से धन्यवाद...
Aaapka comment karne ke liye teh-dil se sukariya...
agar aapne koi sawal puchha hai to iski jankari hum jald hi denge or agar aapne hmare kaam ki sarahna ki hia to aapka pehle hi teh dil se dhanyawad...
sikhte rahie kaise banaye?