Gajar ka halwa recipe in hindi/urdu गाजर का हलवा कैसे बनाये हिंदी रेसिपी | How to make carrot halwa with milk
Gajar ka halwa kaise banaye recipe in hindi/urdu ( गाजर का हलवा कैसे बनाये हिंदी / उर्दू रेसिपी ) | How to make carrot halwa with milk
Gajar ka halwa recipe in hindi/urdu गाजर का हलवा कैसे बनाये हिंदी रेसिपी | How to make carrot halwa with milk How do you make gajar ka halwa | how can we make gajrela | gajar halwa recipe sanjeev kapoor | recipe of gajar ka halwa in hindi | gajar ka halwa in cooker | gajar ka halwa with milk | gajar ka halwa pakistani recipe | gajar ka halwa without khoya | gajar ka halwa recipe in hindi
Hello friends , kaisebanaye.com me aap sabhi ka swagat hai . Sardiyo ke mousam me garama - garam halwa khane ko mil jaye to uska mja hi kuch or hota hai . Sardiyo ke mousam me gajar bahut jyada milti hai . Ye to sabhi ko pta hai ki gajar health ke liye kitni achi hoti hai . Ham log waise bahut jyada gajar nhi kha sakte ye thandi hoti hai or waise bhi ham bahut jada gajar nhi kha sakte . To kyu na ham log iska koi pakwan bnakar khaye . Jo ki sardiyo ke mousam me garma garam pakwan khaane ka mann sabhi ka hota hai . Gajar se ham log simple halwa bhi bna sakte hai matlab ki bina doodh ka halwa bhi bna sakte hai , gajar ka halwa doodh ke saath bhi bna sakte hai , Gajar ki kheer bhi bna sakte hai . Gajar pak bhi bna sakte hai . Gajar se bne huye ye sabhi pakwaan bahut hi swadist hote hai . Gajar ka halwa bina doodh ke ham log aapko bta chuke hai . Aaj ham aapko btayenge ki gajar ka halwa doodh ke saath kaise banaye. Gajar ka halwa bahut hi tasty banta hai chahe wo doodh se bna ho ya bina doodh ke . Dono ki recipe me bhi kam difference hai . To chaliye ab ham aapko btate hai ki gajar ka halwa doodh ke saath kaise banaye . Ise bnane ke liye kya kuch chahiyega or kitne logo ke liye bankar teyar hoga .
5-6 logo ke liyeTotal time - 35 minute
Kya-kya chahie ? ise banane ke liye:-
Ghee - 1 badi chammach (3/2 cup)gajar - 1 killo (kadukas ki hui)
doodh - 2 glass (1/2 litre)
sugar(chinni) - 3/2 cup (swadanusar)
Ilaychi powder - 2-3 ilaychi ka
badam - 10-12 (cut kiye hue)
kaju - 10-12 (cut kiye hue)
kismis - 10-12
Kaise banaye? Puri jankari Urdu and Hindi me:-
Gajar ya carrot ka halwa bnane ke liye sabse pahle aapko gajar ko ache se dhokar kadukas kar le . gajar gahari lal color ki honi chahiye kyunki gahari lal color ki gajar jyada mithi hoti hai . Gajar jitni mithi hogi halwa utna hi tasty banega . Ab aapko kdhahi ache se dhokar gas par chdani hai . Jab kdahi ka paani sukh jaaye tab usme ghee dalna hai . Ghee garam hone ke baad kadukas ki hui gajar kdhahi me daalni hai . Ab gajar ko karhchi se chlaate rahe . Agar ghee aapko kam lage to aap thoda bahut uper se bhi daal sakte hai . Lekin baad me gajar ghee chod deti hai . Aap gajar ko karhchi se chlate rahe or medium aanch par use pakne de . Aapko lagbhag 10-15 minute tak gajar ko pkana hai Jab gajar halki pak jaye tab usme doodh daalna hai . Uske baad halwe ko karhchi se chlate rahna . Jab gajar bilkul naram ho jaye or doodh ache se mix ho jaye or halwa gada hone lage tab aap usme sugar(chinni) mix kar de . Sugar (chinni) mix karne ke baad thodi der tak or pka le jab sugar ka paani khatam ho jaye tab krhahi ko gas se utar le or usme dry froot (badam, kaju , kismis) se garnish kar de ya under mix kar le . Ab aapka gajar ka halwa doodh ke saath bankar teyar hai ab aap garama garam gajar ke halwe ko khaane ke liye serve kijiye . Bahut hi tasty halwa bankar teyar ho gya hai .
क्या-क्या चाहिएगा? बनाने के लिए:-
कैसे बनायें?- पूरी जानकारी हिंदी में:-
किस-किस के साथ खायें? इस व्यंजना को:-
कितने समय तक ख़राब नही होगा? ये व्यंजन:-
किस टर्की से रखें? इसे खराब होने से बचने को:-
No comments:
आपका बहुत बहुत धन्यवाद् अपनी टिप्पणी देने के लिए हमारे लिए आपके द्वारा दी गयी हर टिप्पणी महतवपूर्ण होती है. अगर आपने कुछ पूछा है तो उसका जवाब देने की कोशिश हम जल्द ही करेंगे अगर आपने हमारे व्यंजन तथा काम को सराहा है तो आपका पहले ही तह दिल से धन्यवाद...
Aaapka comment karne ke liye teh-dil se sukariya...
agar aapne koi sawal puchha hai to iski jankari hum jald hi denge or agar aapne hmare kaam ki sarahna ki hia to aapka pehle hi teh dil se dhanyawad...
sikhte rahie kaise banaye?