नये व्यंजन

recipe in Hindi

Suji ka halwa with milk kaise banaye recipe in hindi | How to make sooji milk halwa in hindi

Suji ka halwa with milk kaise banaye recipe in hindi | How to make sooji milk halwa in hindi 

suji ka halwa with milk recipe | sooji ka halwa with milk recipe pakistani | sooji doodh ka halwa | punjabi suji ka halwa recipe in hindi | sooji doodh ka halwa in hindi | milk halwa recipe in hindi | suji ka halwa recipe in hindi sanjeev kapoor | Sahi halwa in hindi | Suji ka halwa recipe in hindi | How to make suji ka halwa | suji ka halwa kaise banaye | suji halwa in hindi | सूजी का हलवा कैसे बनाये | सूजी का हलवा रेसिपी इन हिंदी


Halwa , lagbhag sabhi pasand karte hai . Jo log mitha khana pasand karte hai Unhe halwa jrur pasand hota hai . Halwa lagbhag hum tab bnate hai jab koi tyohar ho ya phir ghar me koi guest aaye ho . Halwa bahut tasty hota hai . Hum log besan ka halwa bnate hai , aate ka halwa bnate hai , bread ka halwa bnate hai , suji toast ka halwa bnate hai . Isi tarah aaj hum aapko btane wale hai ki doodh wala suji ka halwa kaise bnate hai . Agar koi guest aaya ho tab aap is halwe ko bnaiye ye bahut hi swadist halwa bnta hai . Jab Aapka kuch meetha khane ka mann ho tab aap ghar par bhi suji ka halwa with milk bna sakte hai Aapko bahut acha lgega . Ise bnana bhut aasan hai or ise bnane me jyada time bhi nhi lgta . Isme ek do cheejo ka khaas dhyaan rakhna hai jo hum aapko neeche ba denge . Ab hum aapko btate hai ki suji ka doodh wala swadist halwa kaise banaye . Kai baar kya hota hai ki ek dam se koi guest aa jate hai or ya hmara suji ka  halwa khane ka mann hota hai pr ghar me jyada doodh nhi hota . Tab aap suji ka halwa bina milk ke bhi bna sakte hai . Wo bhi bahut swadist hota hai . Suji ka halwa bina milk ke kaise banaye ?
5-6 logo ke liye
Time - 20-25 minute

Kya-kya chahie ? ise banane ke liye:-

Ghee - 2 badi chammach (3/2 cup)
suji - 3 cup
sugar(chinni) - 3/2 cup (swadanusar)
dry froot - 1/2 cup 
(Ilaychi - 2-3
badam - 10-12
kismis - 7-8 
kaju - 10-12 )
Doodh (milk) - 6-7 cup (jarurat ke hisaab se)

Kaise banaye? Puri jankari Urdu and Hindi me:-

Suji ka halwa bnane ke liye sabse pahle doodh (milk) ko ubalna hai . Doodh (milk) ubalne ke baad doodh (milk) gas se utaar lijiye or kdhahi ache se dhokarke gas par chda lijiye . kdhahi garam hone ke baad usme ghee daal lijiye . Ghee jab halka garam ho jaye tab usme suji (suji channi hui honi chahiye) daalni hai . Suji ko karhchi se chlate hue bhun lijiye . Suji bhunne me jyada time nhi leti hai . Isliye ise karhchi se chlate rhiye . Suji jab halki brown hone lag jaye or bhunni hui ki halki khushboo aane lag jaye tab usme kisi bartan se ubla hua doodh (milk) daalna hai . Dhyaan rhe ki suji kacchi nhi honi chahiye halki jyada bhun jaye to koi baat nhi . Bahut jyada bhi nhi bhunni warna halwe me jale hue ki smell aane lag jayegi . Doodh (milk) dheere - dheere daalna hai or utna daalna hai jitni halwe ko jrurat hai . Matlab ki agar aapko lage ki halwa jyada tite hai to Doodh (milk) or daal lijiye agar lage ki sahi hai to doodh (milk) mat daaliye . Halwa jyada patla nhi karna hai . Doodh (milk) daalte samay halwe ko karhchi se chlate rhe . Doodh (milk) daalne ke baad halwe me sugar (chinni) or dry froot daalne hai . Thode dry froot garnish karne ke liye bcha kar rakh lijiye. Inhe ache se mix karne ke baad halwe ko thodi der ke liye dhak kar rakh dijiye . Ab aapka suji ka halwa bankar teyar hai . Ab aap ise serve kar sakte hai or saath hi bche hue dry froot se garnish kar lijiye .







Kitne samay tak kharab nhi hoga? ye vayanjan:- 

Garmiyo ke mousam me halwa lagbhag ek din tak hi chlta hai . Agar aap ise freeze me rakhte hai to ise do din tak kha sakte hai . Sardiyo ke mousam me aap ise bina freeze me rakhe 2-3 din tak kha sakte hai .

No comments:

आपका बहुत बहुत धन्यवाद् अपनी टिप्पणी देने के लिए हमारे लिए आपके द्वारा दी गयी हर टिप्पणी महतवपूर्ण होती है. अगर आपने कुछ पूछा है तो उसका जवाब देने की कोशिश हम जल्द ही करेंगे अगर आपने हमारे व्यंजन तथा काम को सराहा है तो आपका पहले ही तह दिल से धन्यवाद...

Aaapka comment karne ke liye teh-dil se sukariya...
agar aapne koi sawal puchha hai to iski jankari hum jald hi denge or agar aapne hmare kaam ki sarahna ki hia to aapka pehle hi teh dil se dhanyawad...
sikhte rahie kaise banaye?

Theme images by fpm. Powered by Blogger.