बूंदी राइता कैसे बनाये रेसिपी हिंदी में | How to make boondi raita in hindi
बूंदी राइता कैसे बनाये रेसिपी हिंदी में | How to make boondi raita in hindi
बूंदी राइता कैसे बनाये रेसिपी हिंदी में | Boondi raita kaise banaye recipe in hindi | How to make boondi raita in hindi | boondi raita recipe by sanjeev kapoor in hindi | boondi raita recipe in hindi video | dahi raita recipe in hindi | boondi raita tadka | lauki ka raita recipe in hindi | boondi raita recipe in marathi |how to make boondi in hindiHello friends , kaisebanaye.com me aap sabhi ka swagat hai or aaj hum aapke liye phir lekar aaye hai raita recipe . Raita sabhi log bahut pasand karte hai . Garmiyo ke time me log raita jyada pasand karte hai . Hamne dahi ka simple raita , kheere ka raita ki recipe bta chuke hai or aaj hum aapke liye lekar aaye hai bahut hi khaas raita recipe Jo sabhi ko bahut pasand hota hai or wo hai boondi raita recipe . Shaadiyo me lagbahg hame boondi ka raita milta hai jo hame bahut acha lagta hai . Lekin ham sochte hai ki ise ghar par kaise banaye . Ise banana bahut hi aasan hai or ise bnane me time bhi jyada nhi lagta . To chaliye ham aapko btate hai ki boondi raita ghar par kaise banaye .
5 logo ke liye
time - 10 minute
Kya-kya chahie ? ise banane ke liye:-
dahi - 3 badi katory (fenta hua) ya lassi
boondi - 2 choti katory (namkeen ya saadi)
jeera bhuna hua - 1/2 choti chamach
namak - 1/2 choti chamach (swadanusar)
lal mirch powder - 1/4 choti chamach (agar aap chaho to)
hara dhaniya bareek kta hua - 3-4 choti chamach
Kaise banaye? Puri jankari Urdu and Hindi me:-
Boondi ka raita bnane ke lliye sabse phle aap dahi ko ache se fent lijiye . Dahi ko bilkul patla bna lijiye . Iske baad dahi me boondi daal lijiye . Agar aap tite boondi khana pasand karte hai to . warna boondi ko 5-10 minute ke liye paani me bhigo de . Uske baad dahi me daale tab tak boondi naram ho jayegi . Iske baad dahi me namak , lal mirch powder , bhuna hua jeera daal de . Iske baad in sab ko ache se mix kar le . Agar aap namkeen boondi use kar rhe hai jo ki market me milti hai to namak or mirch uske hisaab se daale ya phir na hi daale . kyunki unme namak or mirch phle se mile hote hai . Ab raite ko hare dhaniye se sja lijiye . Aapka boondi ka raita bankar teyar hai . Aap khane ke saath serve kar sakte hai . Ye bahut tasty hota hai .
No comments:
आपका बहुत बहुत धन्यवाद् अपनी टिप्पणी देने के लिए हमारे लिए आपके द्वारा दी गयी हर टिप्पणी महतवपूर्ण होती है. अगर आपने कुछ पूछा है तो उसका जवाब देने की कोशिश हम जल्द ही करेंगे अगर आपने हमारे व्यंजन तथा काम को सराहा है तो आपका पहले ही तह दिल से धन्यवाद...
Aaapka comment karne ke liye teh-dil se sukariya...
agar aapne koi sawal puchha hai to iski jankari hum jald hi denge or agar aapne hmare kaam ki sarahna ki hia to aapka pehle hi teh dil se dhanyawad...
sikhte rahie kaise banaye?